Main Jo Marzi Likhon ;-)
Lo ji
Bhala yeh bhi koi baat hoi
Farmaya gya
Izn-e-izhaar tu hae ,par zra hutt kay ho
Chankor ka tuzkira zarori nahi
Phir bhi mehboob ka jalwa dutt kay ho
Yeh kion nahi samjhtey Zaljanu
Himmat bandhti nahi ,
lafz kahan se doondain
Benazir ki ’shahadat’ kay din
Urlughat baechari kahan se doondain
Sardoupehar main sabz chaye ka cup
Wo bhi bghair cheeni kay
Es chinghareeebi kay aalim main
Jo sach koi monh se nikal gya tu
Kon Kumishqbakht
Sar pakar kay Ta-umar
MaNafrat ki Kurwee ’safi’ main
Muhabbat ki chum chum donday???
Aur..
Kabhi samna ho jo etefaqun
Tu bigray monh se bolain
Mujhey Yukhhh thooo
Tum se Muhabbat hae Yukh
Yukh Yukh thoo !!!
You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed. You can leave a response, or trackback from your own site.
Haan woh sub thiek hai k jo bi likho
Urdu font use kia hota to shaed kuch behter samajh aajati…
Ya phir kisi ko samajh mai na aaye…yehi plan tha ?
ye nazm vaaqi azaad hay!!! sab k saat FREE honay ki koshish ki hay, mashriqi rivayaat k bar aks.
bery Good!!!
@ tauqeer
aap buhut samjhdar ho MashAllah
@bmk
Shukriya !
wah kya bat hai apki
to ab jo marzi likhna bhi band kerdia hai?
@ Salman
@ Tauqeer
main ‘kash’ likhna chorr sakti
aapkay blog say tau yehi lag raha hay keh likhna aapnay chorr diya hay .. dont ditch it, do try to write something new